Tara Maa buddist goddess hai, inhe “mother of all Buddhas” bhi kaha jata hai. Buddist religion mein Tara maa ki worship ki jata hai. Tara maa ke 21 roop hai, jinme se white Tara maa bhi ek roop hai . Aaj hum white tara maa ke bare mein janege.
Who is White Tara maa | White Tara maa kon hai |
Tara maa buddist goddess hai, jinhe “mother of all buddhas” bhi kaha jata hai. White Tara maa goddess Tara ke 21 roop mein se ek roop hai. White Tara maa ka white colour peace, harmony ko represent karta hai. White Tara maa ki energy bohot motherly hai . Love ,Compassion, peace , wisdom, protector, beauty sab white Tara maa ki qualities hai.
White Tara Mantra:-
God, Goddess ke apne mantra hote hai, jiski chanting kar hum un god ya goddess se connect ho sakte hai. White Tara Maa ka ek mantra hai jiski chanting kar hum white Tara maa ki blessings paa sakte hai. White Tara Mantra kuch is prakar hai
“OM TAARE TUTTARE TURE MAMA AYUR GYANA PUNYE PUSHTIM KURU SOHA”
“Om taare tuttare ture mama ayur gyana punye pushtim kuru soha” White Tara maa ka mantra hai. White Tara maa powerful goddess hai ,aisa kaha jata hai ki White Tara maa ke mantra ke jaap se wishes ko manifest Kiya ja sakta hai, but especially health, healing, ke liye white Tara Mantra ki help li jati hai.
Benefits of chanting White Tara Mantra:-
1) White Tara maa ka colour white hai jo peace, healing, health ko represent karta hai, White Tara Mantra ko chant karne se aapki body heal hoti hai. White Tara Mantra ki chanting se good health ki blessings milti hai.
2) White tara mantra ko chant karne se compassion , peace, harmony ko attract Kiya ja sakta hai.
3) Mental or physical health ko thik karne ke liye bhi white Tara Mantra ki help le sakte hai.
4) family or apni good health ke liye aap white Tara maa se pray kar sakte ho. White Tara maa ke mantra se good health ki blessings milti hai.
5) White tara mantra ko chant karne se aap good fortune ko bhi attract karte hai.
6) Agar aap life mein koi challenges face kar rahe hai , ye mantra ke chant se wo challenges bhi remove ho jayege.
7) Generally bhi white tara mantra ki chanting ki ja sakti hai aisa karne se aap healthy rahenge or white tara maa ki blessings or protection bhi milti hai.
Mantras bohot powerful hote hai or mantras ko use karke hum apni wishes ko manifest kar sakte hai. Mantras bhi manifestation ka part ban Gaye hai log apni wishes ko manifest karne ke liye mantras ko use karne lag gaye hai or logo ko positive results bhi mil rahe hai. Aap YouTube par white tara maa ke mantra ki video ke comments read karna, logo ko bohot positive results mile hai, log apni success story share kar rahe hai, apne experience share kar rahe hai. Aap jarur success story read karna isse aapka trust build-up hoga , mantra , switchword ya manifestation se related aapke mind mein koi negative believes hai toh success story read karne se vo negative believe bhi break honge.
How many days to chant mantras :-
Minimum 41 days tak daily mantra ko 108 times chant karna , Mantra chant karte waqt mind mein apni wish ki image create karni hai. Chant karte waqt positive rehna hai calm mind ke saath mantra ko chant karna hai. White Tara maa ke request karni hai ki please meri wish poori kijiye. Outcome ko lekar positive rehna hai, desperate nhi hona hai. Mantra ko trust ke saath chant karna hai.
Disclaimer -Mantras, Switchword ya manifestation ki koi bhi technique tab tak work nhi karenge jab tak aap poore trust ke saath nhi karoge. full faith ke saath mantras, switchword or manifestation technique ko use karna chahiye.