Red Tara Mantra | Mantra For Love And Relationship Healing |

Red tara mantra love manifest karne ke liye best mantra hai. Goddess Tara buddist goddess hai, inhe “mother of all Buddhas” bhi kaha jata hai. Buddist religion mein Tara maa worship ki jata hai. Tara maa ke 21 roop hai, jinme se red Tara maa bhi ek roop hai . Aaj hum Red Tara Maa ke bare mein janege.

 

Who is Red Tara maa | Red Tara maa kon hai |

Red Tara maa buddist goddess hai, jinhe “mother of all buddhas” bhi kaha jata hai. Red Tara maa ka red colour love ko represent karta hai. Red Tara maa ki energy bohot motherly hai . Love, Compassion, passion , wisdom, protector, beauty sab red Tara maa qualities hai.

 

Red Tara Mantra:-

Sab God, Goddess ke apne mantra hote hai, jiski chanting kar hum un god ya goddess se connect ho sakte hai. Red Tara Maa ka bhi ek mantra hai jiski chanting kar hum red Tara maa ki blessings paa sakte hai. Mantra kuch is prakar hai

 

              “OM TAARE TAM SOHA”                                                                                                                                                                                                                                                                                        Red Tara Mantra

“Om taare tam soha” red Tara maa ka mantra hai. Red Tara maa powerful goddess hai ,esa kaha jata hai ki Red Tara maa ke mantra ke jaap se koi bhi wish ko manifest Kiya ja sakta hai, but especially love, relationship healing, passion, attraction power ko increase karne ke liye red Tara Mantra ki help li jati hai.

 

Benefits of chanting Red Tara Mantra:-

 

1) Red Tara maa ka colour red hai jo love ko represent karta hai, Red Tara Mantra ko chant karne se aapke  relationship heal hote hai. Red Tara Mantra Heart chakra ko bhi heal karta hai, jise aap love manifest kar sake ya love ko feel ya experience kar sake.

2) Life mein soulmate manifest karne ke liye ya marriage manifest karne ke liye bhi red Tara Mantra best mantra hai.

3) Mantra Manifestation blockages ko bhi remove karta hai, jisse manifestation process fast ho jata hai.

4) Beauty manifest karne ke liye bhi red Tara Mantra ki help le sakte hai.

5) Relationship issues ko heal karne ke liye red Tara Mantra ko chant Kiya jata hai.

6) Career growth mein bhi ye mantra bohot helpful hai.

7) kisi bhi relations ko heal karne ke liye ya relationship mein bonding ko or strong karne ke liye red Tara maa ka mantra chant Kiya jata hai.

8) Beauty, attraction power ko increase karne ke liye, charming personality ko manifest karne ke liye red Tara Mantra ko chant Kiya ja sakta hai.

9) Kisi bhi life issue ke liye red Tara maa ki help lee ja sakti hai.

10) Generally bhi Red Tara mantra ki chanting ki ja sakti hai esa karne se vibration high rehti hai or Red Tara maa ki blessings or protection bhi milti hai.

 

 Mantras bohot powerful hote hai or mantras ko use karke hum apni wishes ko manifest kar sakte hai. Mantras bhi manifestation ka part ban gaye hai log apni wishes ko manifest karne ke liye mantras  ko use karne lag gaye hai or logo ko positive results bhi mil rahe hai.  Aap YouTube par Red Tara Maa ke mantra ki video ke comments read karna, logo ko bohot positive results mile hai, log apni success story share kar rahe hai, apne experience share kar rahe hai. Aap jarur success story read karna isse aapka trust build-up hoga , mantra , switchword ya manifestation se related aapke mind mein koi negative believe system hai toh success story read karne se vo negative believe bhi break hoga.

 

How many days to chant mantras :-

 

Minimum 41 days tak daily mantra ko 108 times chant karna , Mantra chant karte waqt mind mein apni wish ki image create karni hai. Chant karte waqt positive rehna hai calm mind ke saath mantra ko chant karna hai. Red Tara maa ke request karni hai ki please meri wish poori kijiye. Outcome ko lekar positive rehna hai, desperate nhi hona hai. Mantra ko trust ke saath chant karna hai.

 

Disclaimer -Mantras, Switchword ya manifestation ki koi bhi technique tab tak work nhi karenge jab tak aap poore trust ke saath nhi karoge. full faith ke saath mantras, switchword or manifestation technique ko use karna chahiye.

 

Leave a Comment