Mantra Journaling Manifestation technique bohot effective technique hai apni wishes ko manifest karne ke liye. Mantras bohot powerful hote hai, ye bohot high vibrational frequency words hote hai. Mantras ko use karke wishes ko manifest Kiya ja sakta hai, mantras bohot powerful tool hai apni vibrational frequency ko badane ka or wishes ko attract karne ka.
Mantras kya hote hai | what are mantras |
Mantras bohot powerful words or phrases hote hai. Hindu dharm mein mantras ki bohot importance hai. Sab God, Goddess ke apne specific mantras hote hai, jiski chanting kar hum un specific God, Goddess se connect ho sakte hai, unki blessings paa sakte hai. Hindu dharm mein mantras ko centuries se use Kiya jata hai. Mantras mein bohot powers hoti hai, mantras ko disease ho heal karne ke liye, god or goddess ki blessings paane ke liye, barish karane ke liye, mantras mein itni power hoti hai ki hawan mein aag jalane ke liye bhi mantras ka use Kiya jata tha. Aaj bhi Hindu dharm mein mantras ki bohot importance hai. Aaj bhi log mantras ka use karte hai apni wishes ko manifest karne ke liye. One word mantra bohot jaldi work karte hai hai, or unhe chant karna bhi easy hota hai.
Mantra Journaling Manifestation technique |
Manifestation ki bohot saari techniques hai jismein se Mantra journaling bhi ek technique hai. Mantras bohot powerful hote hai, mantras ko chant karne se hamari vibrational frequency high hoti hai. Higher vibrational frequency mein rehne se hum easily apni wishes ko attract kar sakte hai. Mantras Journaling bhi manifestation ki effective technique hai. Mantras ko apni wishes ke saath Journal karne se wishes ko manifest Kiya ja sakta hai.
Mantra bohot saare hote hai, har situation ke liye bohot saare mantras hote hai. Aap apni wish ke according mantra ko select kar sakte hai. Mantra ko select karne ke baad aapko mind mein apni wish ki intention set karni hai. Wish ko mind mein rakhte hue jab hum mantra Journaling or saath mein mantra chanting bhi karenge tab mantra ko chant karne se or mantra Journaling ek saath karne se humari vibrational frequency high ho jayegi jisse hum apni wish ko easily attract kar payenge.
Aap chahen toh apni wish ko page ke centre mein likh kar mantra Journaling bhi kar sakte hai. Wish ko present tense mein likhna hai or baki poore page par aap mantra likh sakte hai. Jab bhi hum mantra chant karte hai us time humari vibrational bohot high hoti hai, high vibration mein hi hum positive outcome ko manifest kar sakte hai. Jab hum low vibration mein hote hai jaise anger, guilt, depression tab hum waisi hi vibration ke cheezo ko attract karte hai, isliye kaha jata hai ki hamesha khush rehna chahiye, positive rehna chahiye jisse hum positive cheezo ko hi attract kare.
Abundance, happiness, joy, love ye sab high vibrational words hai, sab log aise hi high vibrational outcomes ko manifest karna chahte hai par ye high vibrational energies tab hi humari life mein manifest hoti hai jab hum khud high vibrational frequency mein rehte hai. High vibration mein rehne se hi hum high vibrational outcomes ko manifest karte hai. Mantra bohot achha tarika hai high vibrational mein rehne ka hamesha universe ke saath connected rehna hai. Mantra itne powerful hote hai ki in ki chanting karne se bohot jaldi desired manifest hote hai, or jab hum apni wish ke saath Mantra journaling karte hai tab humara subconscious mind mein bar bar humari wish store hona start ho jati hai.
Disclaimer:- Manifestation ki koi bhi technique humari energies ke according hi hume results deti hai. Agar hum apni wish ke liye nagetive rehte hai technique karne ke baad bhi hum apni wish ko manifest nhi kar sakte, isliye apni wish ke liye positive rehna hai jab hi hum apni wish ko manifest kar sakte hai.