Green Tara Mantra | Manifest Beauty, Abundance, Health, Relationship |

Tara Maa buddist goddess hai, inhe “mother of all Buddhas” bhi kaha jata hai. Buddist religion mein Tara maa ki worship ki jata hai. Tara maa ke 21 roop hai, jinme se Green Tara maa bhi ek roop hai . Aaj hum green Tara Maa ke bare mein janege Or Green Tara Mantra se kaise apni wish ko manifest kar sakte hai ye janege.

 

Who is Green Tara maa | Green Tara maa kon hai |

Green Tara maa buddist goddess hai, jinhe “mother of all buddhas” bhi kaha jata hai. Green Tara maa ka green colour healing ko darshata hai. Green Tara maa ki energy bohot motherly hai . Compassion, kind , wisdom, protector, beauty sab green Tara maa ki characteristics hai.

Green Tara Mantra:-

Har God, Goddess ke apne mantra hote hai, jiski chanting kar hum un god ya goddess se connect ho sakte hai. Green Tara Maa ka bhi ek mantra hai jiski chanting kar hum green Tara maa ki blessings paa sakte hai. Mantra kuch is prakar hai

        “OM TARE TUTTARE TURE SOHA”                                                                                                                 Green Tara mantra

“Om tare tuttare ture soha” green Tara maa ka mantra hai. Green Tara maa powerful goddess hai ,esa kaha jata hai ki green Tara maa ke mantra ke jaap se koi bhi wish ko manifest Kiya ja sakta hai.

Green Tara Mantra benefits :-

1) Green Tara maa ka colour green hai jo healing ko darshata hai, green Tara Mantra ko chant karne se aapki healing hoti hai. Green Tara Mantra Heart chakra ko bhi heal karta hai.

2) Mantra Manifestation blockages ko bhi remove karta hai, jisse manifestation process fast ho jata hai.

3) Beauty manifest karne ke liye bhi green Tara Mantra ki help le sakte hai.

4) Relationship issues ko heal karne ke liye bhi green Tara Mantra ko chant Kiya ja sakta hai.

5) Career growth mein bhi ye mantra bohot helpful hai.

6) Womb healing ke liye bhi green Tara Mantra ko use Kiya jata hai.

7) Weight loss ya weight gain ke liye bhi green Tara Mantra ko use Kiya ja sakta hai kyuki green Tara Mantra beauty ko bhi enhance karta hai.

8) Kisi bhi life issue ke liye green Tara maa ki help lee ja sakti hai.

9) Generally bhi green Tara mantra ki chanting ki ja sakti hai esa karne se vibration high rehti hai or green Tara maa ki blessings or protection bhi milti hai.

 Mantras bohot powerful hote hai or mantras ko use karke hum apni wishes ko manifest kar sakte hai. Mantras bhi manifestation ka part ban Gaye hai log apni wishes ko manifest karne ke liye mantras  ko use karne lag gaye hai or logo ko positive results bhi mil rahe hai.  Aap YouTube par Green Tara Maa ke mantra ki video ke comments read karna, logo ko bohot positive results mile hai, log apni success story share kar rahe hai, apne experience share kar rahe hai. Aap jarur success story read karna isse aapka trust build-up hoga , mantra , switchword ya manifestation se related aapke mind mein koi negative believe system hai toh success story read karne se vo negative believe bhi break hoga.

How many days to chant mantras :-

Minimum 41 days tak daily mantra ko 108 times chant karna , Mantra chant karte waqt mind mein apni wish ki image create karni hai. Chant karte waqt positive rehna hai calm mind ke saath mantra ko chant karna hai. Green Tara maa ke request karni hai ki please meri wish poori kijiye. Outcome ko lekar positive rehna hai, desperate nhi hona hai. Mantra ko trust ke saath chant karna hai.

Disclaimer -Mantras, Switchword ya manifestation ki koi bhi technique tab tak work nhi karegi jab tak aap poore trust ke saath nhi karoge. full faith ke saath mantras, switchword or manifestation technique ko use karna chahiye.

5 Magical Benefits of Gratitude |

Gratitude ek powerful or magical technique hai jisse hum apni life mein beautiful outcome manifest kar sakte hai. Gratitude ki power se hum apni koi bhi wish ko manifest kar sakte hai. Manifestation mein gratitude ki bohot importance hai. Aaj hum 5 magical benefits of gratitude ke bare mein jange, jinhe janne ke baad aap bhi apni life mein gratitude ko add karne ke liye motivate honge.

What is true meaning of Gratitude ?

Gratitude ek feeling hoti hai, jab bhi hum kisi ke prati aabhar jatate hai us feeling ko hi gratitude kehte hai. Jab bhi hum kis ke liye thankful hote hai ya kisi  ki madad ke liye appreciate karte hai wo feeling hi gratitude hai.

How to practice Gratitude?

Jab hum grateful hote hai un sabhi cheezo ke liye jo humare pass hai , toh universe bhi humari sari wishes ko pura karte hai.

Har us cheez ke liye hume gratitude show karna chahiye jo universe ne hume di hai. Morning ki shuruat gratitude se honi chahiye or day ka end bhi gratitude ke saath hona chahiye. Jab hum apni life ki har cheez ke liye grateful hote hai , universe ko gratitude show karte hai tab hum or beautiful experience  apni life mein attract karte hai.

 

Ab hum jaante hai ki gratitude ki practice kaise ki jaye

 

– Hum har cheez ke liye universe ko gratitude show kar sakte hai Jin cheezo ke liye hum grateful hai wo koi bhi cheez ho sakti hai, Chahe wo humari healthy body ho, ya hamari job , parents, food , clothes, mobile phone, money, AC, TV, car, house, sabhi chhoti se chhoti cheezon ke liye or badi se badi cheezon ke liye hume universe ke liye thankful rehna chahiye.

– jab hum morning mein uthte hai sab se pehle hume universe ko thank you kehna chahiye, kyuki universe ne hum logo ko ye din diya hai apne sapno ko pura karne ke liye. Sabhi log itne lucky nhi honge, hum alive hai ye bhi universe ki ek blessing hai.

-hum jab bhi khana khaye hume khane ke liye universe ko gratitude show karna hai, kyuki duniya mein bohot sare aise log bhi  hai jo itne fortunate nhi hai.

– Agar humare pass achhe clothes,shoes, car, house hai ,din mein ek bar hi sahi hume thankful hona chahiye, universe ko gratitude show karna chahiye.

 

5 Magical benefits of gratitude |

 

– Thank you ek high vibration word hai , jab hum  thankful hote hai, Gratitude show karte hai  humari vibration high hojati hai.

 

– Jab hum gratitude ki vibration mein rehte hai, life mein sabhi experiences, meterial cheezon ke liye grateful hote hai tab universe ko lagta hai ki hume  value hai sabhi cheezon ki jo universe ne hume di hai tab universe or humari manifestation ko pura karte hai.

 

– Jab hum high vibration mein rehte hai tab hum easily manifest kar paate hai hume wishes ko manifest karne mein jyada time nhi lagta. Easily humari wishes manifest hone lag jati hai.

 

– Gratitude show karne Wale log jyada happy rehte hai or logo ke comparison mein in logo ko depression Kam hota hai. Har situations mein positive rehte hai.

 

–  Aap dekhoge ki aap ki relationship better hone lag jayegi. Aapka agar koi trauma ,inner child issue vo sabhi heal hone lag jayenge.

 

Gratitude ek powerful or magical technique hai jise follow kar hum apni life ko transform kar sakte hai, kuch hi dino mein app positive changes feel karne lag jaoge.