Vision Board Technique | How to create vision board for your wishes|

Vision board manifestation ki technique hai. Vision Board bhi law of attraction ki effective technique hai. Vision board technique mein apni wishes se related images, quotes ko ek board par lagana hota hai, or daily vision board ko dekhna hota hai or feel karna hota hai ki meri saari wishes manifest ho gayi hai.

What is law of attraction? Law of attraction kya hai ?

“Law of attraction” ek aise law ke bare mein baat karta hai jismein bataya gaya hai ki hum woh hi cheezon, experience,log ko attract karte hai jin cheezon ke bare mein jyada sochte hai jaise agar aap hamesha negative cheezon ke bare mein jyada sochte hai, negative outcome ko bar bar visualize karte hai toh high chances hai ki woh negative cheezon ka aap ki life mein manifest hone ka.

So basically law of attraction ka simple meaning ye hai ki, jin cheezon ke bare mein hum jyada sochte hai waisi hi cheezen humari life mein honi start ho jaye. Chahe woh positive cheezen ho ya negative. Law of attraction ko simple way mein meaning hai jo bhi incident, experience humare saath hote hai woh sabhi humare duara hi attract kiye jate hai.

Consciously or unconsciously  hum jin bhi cheezon ke bare mein sochte hai woh cheezen humari life mein aani start ho jati hai.

Law of attraction most famous technique |

Law of attraction bohot famous topic hai. Sab log is ke bare mein baat kar rahe hai, log apne experiences share kar rahe hai. Law of attraction ki success story share kar rahe hai. Aaj hum aisi law of attraction technique ke bare mein baat karenge jise bohot fast results milte hai. Toh chahiye start karte hai or jaante hain us technique ke bare mein.

 Vision Board law of Attraction Technique |

Vision board technique

Vision Board  law of attraction ki effective technique hai. Vision board technique mein apni wishes se related images, quotes ko ek board par lagana hota hai, or daily vision board ko dekhna hota hai or feel karna hota hai ki meri saari wishes manifest ho gayi hai. Vision board ki images ko dekh kar aisa feel karna hota hai ki ye saari images meri wishes manifest hone ke baad ki hai, or is feeling ke saath gratitude show karna chahiye.

Vision board law of attraction technique benefits |

– Vision board technique bohot effective technique hai subconscious mind reprogram karne ke liye. Jab hum bar bar vision board ko dekhte hai, vision board par meditate karte hai tab dheere dheere wishes humare subconscious mind mein store hona start ho jaati hai.

– Vision board technique se effortlessly wishes ko manifest Kiya ja sakta hai.

– Vision board technique ko use karke multiple wishes ko ek saath manifest Kiya ja sakta hai.

Vision board technique mein law of assumption ka use Kiya jata hai, is law mein hume ye assume karna hota hai ki humari wish manifest ho gayi hai. Wish manifest hone ke baad wali feeling ko hume vision board ko dekhte hue feel karna hota hai. Jab hum apni wish ki vibration frequency mein tap in karte hai, tab hi hum apni wish ko manifest kar paate hai. Achhe se visualize karna vision board technique ka important part hai. Step by step hume wish ko details mein visualise karna hota hai vision board ki images ko dekhte hue.

                      Aap chahe toh pinterest par bhi apna vision board bana sakte ho, apni wishes se related images ko pinterest mein choose karke ek separate folder bana sakte ho. Aap chahe toh physical vision board bhi bana sakte ho.

How to use vision board technique-

Daily vision board par 10 to 15 minutes apni wish ko visualize karna hai, full focus ke saath vision board par aap meditate bhi kar sakte hai.

Vision board best law of attraction techniques mein se ek technique hai. Vision board technique ko use karke aap bhi apni wishes ko manifest kar sakte hai. Ye effective law of attraction techniques hai.

Disclaimer:- Manifestation ki koi bhi technique humari energies ke according hi hume results deti hai. Agar hum apni wish ke liye nagetive rehte hai toh vision board technique karne ke baad bhi hum apni wish ko manifest nhi kar sakte, isliye apni wish ke liye positive rehna hai jab hi hum apni wish ko manifest kar sakte hai.

Leave a Comment